Holy Blessings of His Holiness Nirankari Baba Ji on 13-Nov-14, showered in Prarthna Diwas, Delhi Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji 1) Aap sabhi mil baithkar iss Nirakar Dataar ka gungaan bhi kar rahe hain jiski mahima aprampar hai. Isi ko natmastak hokar iss 67ve Sant Samagam ke liye prarthnayein kar rahe hain jise Prarthna Diwas kaha jaata hai, jisme sabhi Nirakar ke aage prarthna karte hain ki iss Samagam ke har pehlu ka har koi anand le paaye aur jan ke kalyan ke liye har koi sehyog de sake. 2) Maheene se bhi adhik se innn maidano mein sewaayein aarambh ho gayi thi. Jab foreign tour se daas lauta 15 Aug ko, toh kaafi kaarye yahaan maidaano mein chal raha tha aur preliminary kaaryo ko anjaam diya ja raha tha. 12 Oct ko jab se iska vidhivat aarambh hua, pehle se hi sewayein chal rahi thi aur baad mein bhi sadh sangat aur sewadar aakar nirdesh anusaar sewa karte rahe. Isi ke kaaran aaj ye bhavye roop dekhne ko mil raha hai aur Sadh Sangat ke liye facilities provide ki gayi hain. 3) Sadh sangat aadesho ka paalan karti hai isi liye iss Samagam ki sucharita bani rehti hai. Gursikhi mein manmati varjit hai. Agar hum satvachan karke apne aapko dhaalte hain toh tamaam kaaryo mein sucharita aur soothness bani rehti hai. Kabhi bhi apna dhyaan poora karne ka bhaav na aaye balki jaisa aadesh hai usi ka paalan karne ka jatan ho. 4) Jab se July se tareekein anounce hui hain tabhi se sabhi sangto mein utsaah dekha gaya. Abhi bhi dekha ki door desho se numayendagi ho chuki hai aur kuch iss taraf rukhsat hone ki tayyariyon mein hain. 5) Dataar kirpa kare ki sabhi khushi-khushi iska anand le sakein, sabhi Oneness aur Ekta ke sutr mein bandh jaayein. Jo Guru Peer Paigambron ka Prem aur Bhaichaare ka paigaam hai, usi ko poora karne ke liye sabhi ismein bhaag le rahe hain. 6) Daas yahi shubhakamna kartea hai ki Dataar sabhi ko taufeeq aur shakti de, tan ki Sewa bhi chal rahi hai aur dhan ki sewa bhi ki hai sabhi ne, toh aasara Nirakar ka, adhaar iss Nirakar ka lekar sabhi iss Samagam ko nibhayeinge aur iski khushi prapt karenge. Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji
© Copyright 2025 Paperzz